ek KHwahish
By hafeez-aatishJanuary 3, 2024
zard patte
barahna pedon ki dalen
tak rahi hain aasman
khushk dharti par daraden pad gain
pyas ki shiddat ki uf
lambe sae ki tarah
unche pahadon par khadi
muntazir hai zindagi ki
aur main is khushk dharti par
edi ragad kar zor se
phir kisi chashme ka khwahish-mand hun
barahna pedon ki dalen
tak rahi hain aasman
khushk dharti par daraden pad gain
pyas ki shiddat ki uf
lambe sae ki tarah
unche pahadon par khadi
muntazir hai zindagi ki
aur main is khushk dharti par
edi ragad kar zor se
phir kisi chashme ka khwahish-mand hun
43988 viewsnazm • English