ek lamha

By nasim-khanSeptember 27, 2023
ek lamha
itna bhayanak ho sakta hai
ki tumhaari yaadasht chhin kar
tumhein mazi mein bhej de


ek din itna
bura ho sakta hai
ki tumhaari sari khushiyan chhin sake
ek raat itni daraoni


ho sakti hai
ki tumhein kisi khuda ko manne par majbur kar de
ek mahina
itna manhus ho sakta hai


ki tumhaara sara sal
ishq ki nazar ho jae
ek sal
tumhaari zindagi badal sakta hai


aur tum sadiyon tak
tarikh ki god mein so sakte ho
56537 viewsnazmEnglish