alfazon ka ek khazana mere pas aur khwabon ki ek pitari tere pas main tere khwabon ka koi nam dharun tum mere lafzon mein khwab piro dena taki hum is len-den mein bhul saken tanhai mein chupke chupke ro dena main ne tere ek khwab ko bachpan likha jis mein tum ne khud ko badhiya paya tha aur koi tum se bhi ek do sal bada chand batashe teri khatir laya tha main ne ek khwab ko likha jawani jis mein tum ek tin sal ki bachchi thi jism zehn se kachchi thi sachchi thi theth jhut ki jeth jhut ki sikhar do-pahri jism zehn ko duniya pukhta karti hai pata hai mujh ko nind mein teri ab tak milon nannhi bachchi thumak thumak kar chalti hai phir aata hai ek mahina nazmon ka nak kan ko bedhne wali rasmon ka aur budhapa yahan se shurua nahin hota