ek nazm 2
By faiyaz-rifatJune 13, 2021
main ne tumhein
tumhaare kanwal jhil chehre ko
faramosh kar diya hai
purani saaton ki
shiriniyon ko yaksar bhula diya hai
lafzon ke marmarin paikar
jumlon ki latif saughaten
hum se hamara sab kuchh
chhin liya gaya
chhinne wale qazzaq
hamare apne aziz the
hamare apne rafiq the
tumhaare kanwal jhil chehre ko
faramosh kar diya hai
purani saaton ki
shiriniyon ko yaksar bhula diya hai
lafzon ke marmarin paikar
jumlon ki latif saughaten
hum se hamara sab kuchh
chhin liya gaya
chhinne wale qazzaq
hamare apne aziz the
hamare apne rafiq the
54047 viewsnazm • English