gadi guzar gai dhuen aur dhul ki chhatri ne mitti ko dhanp diya kabutar khush-ilhan muazzin ke erab jude jumlon ke bich kabuk se sar takraata hai tuti mez pe main ne aankhen rakhi hain aur gathri ban kar kursi pe baitha hun main jo apne maile kafan ki sondhi khushbu sungh chuka hun jaan gaya hun ek ya do farlang farar ka rasta hai jina jite rahna hi neamat hai jangal hai aur girye ki shakhon se dast-e-sawal kasa ban kar latka hai main kase mein chhup kar baitha hun ghar ka sara saz-o-saman bech kar nikla hun ye soch kar ghar se nikla hun