ek nazm

tu ne dekhi hain faqat meri ye hansti aankhen
aur hansti hui aankhon mein shagufta baaten

tu kabhi aankh mein rakkhi meri barsat bhi dekh
mere ashkon mein chhupi hijr ki ek raat bhi dekh

tu ne chaha hai ki main khwab banungi tera
tu ne dekha hai faqat phul sa paikar mera

tu ne dekha hi nahin phul bikharta bhi hai
tujh ko malum nahin bagh ujadta bhi hai

apne wadon ka zara aap hi tum pas karo
mere ghamnak se lamhon ka bhi ehsas karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close