khizan ki aahaten sun rahi ho mera jism bujh raha hai meri sanson ke phul-patte murjha rahe hain main waqt ki shakh se na jaane kab tutun aur bikhar jaun meri kitaben baaten taswiren kisi micro film audio ya wideo cassette par ya kisi cd mein mahfuz kar lo dekho ab bhi waqt hai magar waqt bahut kam hai mujhe aakhiri bar chhu lo mere khayal ke sine par sar rakh kar computer se meri floppy nikal kar apne balauz ke gareban mein dal lo na jaane kab ye pahad jangal shahr samundar patal khala jinhen main ne ji bhar ke dekha tak nahin lakiron mein dhal kar ghatte hue daeron ek aise nuqte mein simat jaen jo apne hi markaz ki gahrai mein dub jae