wo jis ki did mein lakhon masarraten pinhan wo hasan jis ki tamanna main jannaten pinhan hazar fitne tah-e-pa-e-naz khak-nashin har ek nigah khumar-e-shabab se rangin shabab jis se takhayyul pe bijliyan barsen waqar jis ki rafaqat ko shokhiyan tarsen ada-e-laghzish-e-pa par qayamaten qurban bayaz-rukh pe sahar ki sabahaten qurban siyah zulfon mein warafta nikhaton ka hujum tawil raaton ki khwabida rahaton ka hujum wo aankh jis ke banaw pa khaliq itrae zaban-e-sher ko tarif karte sharm aae wo hont faiz se jin ke bahaar lala-farosh bahisht o kausar o tasnim o salsabil ba-dosh gudaz jism qaba jis pe saj ke naz kare daraaz qad jise sarw-e-sahi namaz kare gharaz wo husn jo mohtaj-e-wasf-o-nam nahin wo hasan jis ka tasawwur bashar ka kaam nahin kisi zamane mein is rah-guzar se guzra tha ba-sad ghurur o tajammul idhar se guzra tha aur ab ye rah-guzar bhi hai dil-fareb o hasin hai is ki khak mein kaif-e-sharab-o-sher makin hawa mein shokhi-e-raftar ki adaen hain faza mein narmi-e-guftar ki sadaen hain gharaz wo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai niyaz-e-ishq ko ek sajda-gah mayassar hai
This is a great jumma namaz shayari. True lovers of wiladat imam hasan shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this nikhat shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!