ek sawal

By ali-sardar-jafriOctober 24, 2020
malum nahin zehn ki parwaz ki zad mein
sarsabz umidon ka chaman hai ki nahin hai
lekin ye bata waqt ka bahta hua dhaara
tufan-gar o koh-shikan hai ki nahin hai


sarmae ke simte hue honton ka tabassum
mazdur ke chehre ki thakan hai ki nahin
wo zer-e-ufuq subh ki halki si sapedi
dhalte hue taron ka kafan hai ki nahin hai


peshani-e-aflas se jo phut rahi hai
uthte hue suraj ki kiran hai ki nahin hai
67409 viewsnazmEnglish