kuchh dinon se qarib-e-dil hai wo din jab achanak usi jagah ek shakl meri aankhon mein muskurai thi ek pal ke liye to ek wo shakl jaane kya kuchh thi jhut bhi sach bhi shayad ek bhul shayad ek pahchan kuchh dinon se to jaan-bujh ke ab ye samajhne laga hun main hi to hun jis ki khatir ye aks ubhra hai kuchh dinon se to ab main danista is guman ka fareb khata hun roz ek shakl us dorahe par ab mera intizar karti hai ek diwar se lagi har subh tiktiki bandhe nim-rukh yaksu ab mera intizar karti hai main guzarta hun mujh ko dekhti hai main nahin dekhta wo dekhti hai us ke chehre ki sakht saat-e-did zard honton ki patriyan pital surkh aankhon ki tukdiyan qurmuz roghni dhup mein dhanste hue panw muntazir muntazir udas udas ek yahi chehra ek pal ke liye jaane kya kuchh tha lekin ab to mujhe apni ye bhul bhulti hi nahin ek din ye shabih dekhi thi kuchh dinon se qarib-e-dil hai wo din kuchh dinon se to bitte hue din usi ek din mein dhalte jate hain din guzarte hain ab to yun jaise umr us din ka ek hissa hai umr guzri ye din nahin guzra jis taraf jaun jis taraf dekhun mujh se ojhal bhi mere samne bhi shakl ek tin ke waraq pe rahi shakl ek dil ke chaukhate mein rahi