rah-e-ulfat ki riwayat-e-kuhan zinda hain sar-ba-kaf ahl-e-wafa bahr-e-tamasha guzre dard ki raat wahi karb ka ehsas wahi aamad-e-subh-e-tamanna ka guman kya guzre khauf kaliyon ka tabassum bhi chura leta hai ufuq-e-jabr andheron ka pata deta hai ek taswir jo aawezan thi aiwanon mein khun ka ghaza male husn-e-sitam ho jaise paikar-e-tamkanat-o-naz-o-ghurur-e-baatil dar-e-zindan pe tashaddud ka alam ho jaise ab wo taswir kisi gosha-e-aiwan mein nahin zikr us but ka kisi bazm-e-shabistan mein nahin is se pahle bhi kai bar hua hai aisa phir bhi arbab-e-hawas zahr-e-hawas pite hain aadamiyyat ka taqaddus hai pasheman un se dast-e-tazir se zakhmon ke dahan site hain waqt ka silsila-e-sham-o-sahar yaad nahin un ko tarikh ka andaz-e-safar yaad nahin