ekta

By sabir-abuhariSeptember 30, 2023
har bala se mawara hai ekta
mulk-o-millat ki baqa hai ekta
buz-dilon ka kaam hai bughz-o-inad
ahl-e-himmat ki ada hai ekta


ekta hai makhzan-e-sad-imbisat
ranj se na-ashna hai ekta
abr-e-rahmat hai ye apnon ke liye
ghair ke haq mein bala hai ekta


dur karti hai dilon se tirgi
mamba-e-nur-e-khuda hai ekta
tafraqa hai zahr qaumon ke liye
chashma-e-ab-e-baqa hai ekta


phulti phalti hain is se bastiyan
zamin-e-nashw-o-numa hai ekta
is ke daman mein hai amn-o-afiyat
har musibat ki dawa hai ekta


jabr-o-istibdad ki dushman hai ye
be-kason ka aasra hai ekta
dushmanan-e-hurriyat ke waste
ek tir-e-be-khata hai ekta


ekta se qaum-o-millat ka farogh
qaumiyat ki intiha hai ekta
ekta hai har payambar ka payam
barbat-e-haq ki nawa hai ekta


24276 viewsnazmEnglish