email

yun hi email se aa jate hain sada se khutut
sadgi itni ki khushbu na we rang liye

han wahi rang jo tere lab-o-rukhsar ka hai
ab to kaghaz pe koi naqsh ubharta hi nahin

han wahi naqsh tere mehndi lage hathon ka
ab kisi harf se aati nahin khushbu teri

kaise alfaz hain ye jo teri sanson ki mahak
bin samete hue chup-chap chale aate hain

itni chup-chap ki aahat bhi nahin mil pati
kam se kam dekhiye aawaz diya karta tha

aur ab hum yahan logon kiya karte hain
khat ke pahlu mein ab aata hi nahin zulf ka baal

ab to mahsus nahin hoti zaban-e-taslim
ab to screen pe aadab liya karte hain

ab faqat dhundh ke rah jate hain surat teri
ab to bas tu hi samajhta hai zarurat meri

ai nae daur ye email mubarak ho tujhe
ye taraqqi ka naya taur mubarak ho tujhe

dil sulagta hai magar dekh dhuan bhi to nahin
hont rakhun to kahan pairon ke nishan bhi to nahin

dil ke bahlane ko inbox mein ghum aata hun
ain mumkin hai tera mel koi aaya ho

garche aaya bhi to malum hai kya laega
ek tasalli tera paigham koi laya ho

jaan kar zahar bhi hum zahar piye dete hain
jaane kyon page ko refresh kiye dete hain

mel khulte hi mera sara bharam tut gaya
dekhiye kya to hamesha ki liye chhut gaya

tishnagi phir se wahi phir se wahi bechaini
hont rakhun to kahan par ki nishan bhi to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close