main ne socha tha ki is bar tumhaari bahen meri gardan mein ba-sad-shauq hamail hongi mushkilen rah-e-mohabbat mein na hail hongi main ne socha tha ki is bar nigahon ke salam aaenge aur ba-andaz-e-digar aaenge phul hi phul fazaon mein bikhar jaenge main ne socha tha ki is bar tumhaari sansen meri bahki hui sanson se lipat jaengi bazm-e-ehsas ki tarikiyan chhat jaengi main ne socha tha ki is bar tumhaara paikar mere be-khwab darichon ko sula jaega mere kamre ko saliqe se saja jaega main ne socha tha ki is bar mere aangan mein rang bikhrenge umidon ki dhanak tutegi meri tanhai ke aariz pe shafaq phutegi main ne socha tha ki is bar ba-in surat-e-haal mere darwaze pe shahnaiyan sab dekhenge jo kabhi pahle nahin dekha tha ab dekhenge main ne socha tha ki is bar mohabbat ke liye gungunate hue jazbon ki baraat aaegi muddaton baad tamannaon ki raat aaegi tum mere ishq ki taqdir banogi is bar jit jaega mera josh-e-junun socha tha aur ab soch raha hun ki ye kyun socha tha
Please share if you liked this!!!