faisla

By noor-parkarJune 30, 2021
jis rah se guzar kar
tum mere pas aai thin
usi rah se guzar kar
kisi tarah tum ab laut jao


ab hamare darmiyan
koi dar-o-rasan nahin rahe
na jaane kyon hum ab
tumhaare gham mein jagne ke qail nahin rahe


masih ban ke nikle the lekin
kahin koi qatil nahin rahe
waqt ke sath hum ne bhi
mear-e-wafa badla hai


tum bhi tod do dilon ke aaine
aur apne ajdad ko ruswa kar do
shah-rahon par niklo ban-sanwar kar
jism ke har hisse ka sauda kar lo


kasa-e-dil ki gadai hamein manzur nahin
is daur mein ab koi bhi mansur nahin
59222 viewsnazmEnglish