faisla

By shehzad-anjum-burhaniOctober 26, 2023
khwab ke khauf se sahmi hui ninden aksar
aankh se dur sar-e-rahguzar baithti hain
aur palkon ki gulu-gir sadaon pe koi dhyan nahin jata hai
puran-mashi ki zamistani shab


khun mein aag ki gardish ko badha deti hai
aur main andesha-e-farda se hirasan ho kar
apne mazi ko sada deta hun
qahqaha gunjta hai


haal ki chikh fazaon mein bikhar jati hai
roz-o-shab aisi aziyyat mein guzarte hain ki tarikh faramosh jinhen kar degi
aur hum qissa-e-parina bhi banne ke na-qabil honge
yahi behtar hai aankh se khwab khurach dalen sabhi


rah hamwar karen nind ke aane ke liye
aur so jaen haqiqat ko nibhane ke liye
55854 viewsnazmEnglish