main ki bachpan mein ek din ghar se aisa bhaga ki bhagta hi raha shahr-dar-shahr be-ghari ka 'azab aasman mere nam likhta raha meri khana-badoshiyan mujh se kah rahi hain ki thahr jaun kahin aur kuchh thak chuka hun ab main bhi chahta hun ki ek shab ke liye thahr kar raste mein dam le lun is se pahle ki khema nasb karun chand sae mere ta'aqub mein dur hi se dikhai dete hain aur phir bhaari-bhaari qadmon ki chap kanon mein padne lagti hai fasla bhi simatne lagta hai aur main phir se pagalon ki tarah ek jaanib ko daud padta hun aur phir sab darawne sae dhund ke pichhe dub jate hain main ki is bar bhi sada ki tarah un ke chungal se bach nikalta hun bach nikalna bhi ek 'azab sa hai silsila khatm kyon nahin hota ek ja-e-aman ki khatir kab talak bhagta rahunga main