fareb

By January 1, 2017
fareb
(1)
na-gahan shor hua
lo shab-e-tar-e-ghulami ki sahar aa pahunchi
ungliyan jag uthin


barbat o taus ne angdai li
aur mutrib ki hatheli se shuaen phutin
khil gae saz mein naghmon ke mahakte hue phul
log chillae ki fariyaad ke din bit gae


rahzan haar gae
rah-rau jit gae
qafile dur the manzil se bahut dur magar
khud-farebi ki ghani chhanw mein dam lene lage


chun liya rah ke rezon ko khazaf-rezon ko
aur samajh baithe ki bas lal-o-jawahar hain yahi
rahzan hansne lage chhup ke kamin-gahon mein
ham-nashin ye tha farangi ki firasat ka tilism


rahbar-e-qaum ki nakara qayaadat ka fareb
hum ne aazurdagi-e-shauq ko manzil jaana
apni hi gard-e-sar-e-rah ko mahmil jaana
gardish-e-halqa-e-gardab ko sahil jaana


ab jidhar dekho udhar maut hi mandlati hai
dar-o-diwar se rone ki sada aati hai
khwab zakhmi hain umangon ke kaleje chhalni
mere daman mein hain zakhmon ke dahakte hue phul


khun mein luthde hue phul
main jinhen kucha-o-bazar se chun laya hun
qaum ke rahbaro rahzanon
apne aiwan-e-hukumat mein saja lo in ko


apne guldan-e-siyasat mein laga lo in ko
apni sad-sala tamannaon ka hasil hai yahi
mauj-e-payab ka sahil hai yahi
tum ne firdaus ke badle mein jahannam le kar


kah diya hum se gulistan mein bahaar aai hai
chand sikkon ke ewaz chand milon ki khatir
tum ne namus-e-shahidan-e-watan bech diya
baghban ban ke uthe aur chaman bich diya


(2)
kaun aazad hua?
kis ke mathe se siyahi chhuti
mere sine mein abhi dard hai mahkumi ka


mother-e-hind ke chehre pe udasi hai wahi
khanjar aazad hain sinon mein utarne ke liye
maut aazad hai lashon pe guzarne ke liye
chor-bazaron mein bad-shakl chudailon ki tarah


qimaten kali dukanon pe khadi rahti hain
har kharidar ki jebon ko katarne ke liye
kar-khanon pe laga rahta hai
sans leti hui lashon ka hujum


bich mein un ke phira karti hai bekari bhi
apna khunkhar dahan khole hue
aur sone ke chamakte sikke
dank uthae hue phan phailae


ruh aur dil pe chala karte hain
mulk aur qaum ko din raat dasa karte hain
rotiyan chaklon ki qahbaen hain
jin ko sarmaya ke dallalon ne


nafa-khori ke jharokon mein saja rakha hai
baaliyan dhan ki gehun ke sunahre khoshe
misr o yunan ke majbur ghulamon ki tarah
ajnabi des ke bazaron mein bik jate hain


aur bad-bakht kisanon ki bilakti hui ruh
apne aflas mein munh dhanp ke so jati hai
hum kahan jaen kahen kis se ki nadar hain hum
kis ko samjhaen ghulami ke gunahgar hain hum


tauq khud hum ne pahna rakkha hai armanon ko
apne sine mein jakad rakkha tufanon ko
ab bhi zindan-e-ghulami se nikal sakte hain
apni taqdir ko hum aap badal sakte hain


(3)
aaj phir hoti hain zakhmon se zabanen paida
tira-o-tar fazaon se barsata hai lahu
rah ki gard ke niche se ubharte hain qadam


tare aakash pe kamzor hababon ki tarah
shab ke sailab-e-siyahi mein bahe jate hain
phutne wali hai mazdur ke mathe se kiran
surkh parcham ufuq-e-subh pe lahraate hain


97612 viewsnazmEnglish