farz karo hum ahl-e-wafa hon, farz karo diwane hon farz karo ye donon baaten jhuti hon afsane hon farz karo ye ji ki bipta ji se jod sunai ho farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chhupai ho farz karo tumhein khush karne ke dhundhe hum ne bahane hon farz karo ye nain tumhaare sach-much ke mai-khane hon farz karo ye rog ho jhuta jhuti pit hamari ho farz karo is pit ke rog mein sans bhi hum par bhaari ho farz karo ye jog ba-jog ka hum ne dhong rachaya ho farz karo bas yahi haqiqat baqi sab kuchh maya ho dekh meri jaan kah gae bahu kaun dilon ki jaane 'hu' basti basti sahra sahra lakhon karen diwane 'hu' jogi bhi jo nagar nagar mein mare mare phirte hain kasa liye bhabut ramae sab ke dware phirte hain shair bhi jo mithi bani bol ke man ko harte hain banjare jo unche damon ji ke saude karte hain in mein sachche moti bhi hain, in mein kankar patthar bhi in mein uthle pani bhi hain, in mein gahre sagar bhi gori dekh ke aage badhna sab ka jhuta sachcha 'hu' dubne wali dub gai wo ghada tha jis ka kachcha 'hu'