farz

By raziya-subhanJuly 14, 2021
pech-dar-pech masail mein sada
zindagi ne mujhe uljhae rakha
aur main pet ke dozakh ke liye
roz-o-shab tang siyah raston par


le ke ummid ka chhota sa diya
kabhi is goshe kabhi us goshe
izzat-e-nafs-o-ana sath liye
bij mehnat ke sada boti rahi


bistar-e-aish ke sapne le kar
farsh-e-sangin pe sada soti rahi
apni hasti ko mita kar aksar
kar-e-dushwar ko aasan kiya


apne bachchon ke tayyush ke liye
ho ke begana-e-aram-o-sukun
har ghadi kaam faqat kaam kiya
aaj jab bachche jawan-sal hue


be-niyazana ye kah kar guzre
aaj tak aap ne jo kuchh bhi kiya
hum pe ehsan nahin hai ye na qarz
ye haqiqat mein hai man bap ka farz


75385 viewsnazmEnglish