nind se bhige lamhon mein mere jism ko dubne ki aadat hai is liye mere dil ne tairna sikha hai khushbu ke qurb mein rangon ka bikharna meri samaat hai is liye mere dil ne parakhna sikha hai main ek khwab liye nagar nagar phirta hun aur anginat tabiren kabhi aankhon se kabhi hatheliyon se ulajh jati hain main is dhund mein shahr ki raushaniyan dekh to sakta hun jahan tabir ko khwab ki zarurat nahin hoti mere musawwir tu ne mere hathon mein waqt ki barf rakh di hai ai mere basir meri kashti ko us shahr ki dahliz tak pahuncha de is se pahle ki meri hatheliyan bhigi rah jaen