mohabbat jis ko kahte hain badi mushkil se hoti hai faqat ek bar hoti hai khulus-e-dil se hoti hai jahan-e-film mein, ulfat ka har nakhra nirala hai ye aisi dal hai jis dal mein kala hi kala hai agar bazar mein ladki phisal jae mohabbat hai sahaara pa ke ladke ka sambhal jae mohabbat hai kisi ladki ko daku se chhuda kar lao ulfat ho kisi ki cycle se cycle takraw ulfat ho ye filmi ishq ne kaisa naya pahlu nikala hai police-kaptan ki ladki ka aashiq rikshe wala hai muqaddar ko kahin se saz-gari hi nahin milti wahi milti hai aur koi sawari hi nahin milti amiri par gharibi ka wo yun sikka jamata hai kiraya tak nahin leta magar chaddi khulata hai sar-e-bazar hero se jo accident ho jae to us ka ishq accident se disent ho jae ba-zahir dekhne mein sirf ek motor ki takkar hai kisi dil-phenk se lekin kisi dilbar ki takkar hai wo heroine ko motor mein shifa-khane bhi laega aur us ke dil ko bahlane ko gana bhi sunaega wo gana jis mein haal-e-dil ki puri tarjumani ho magar ye shart hai bharpur donon ki jawani ho wo phir motor se takkar ki shikayat bhul jaegi wo zakhm-e-dil ke aage har jarahat bhul jaegi janab-e-seth-sahab ki jo ek be-man ki bachchi hai nihayat ladli hai umr pukhta aql kachchi hai aur us ko seth ke daftar ke ek babu se ulfat hai manager aur babu ke liye wajh-e-raqabat hai natije mein wilen nashad hero shad hota hai taraqqi pa ke babu seth ka damad hota hai kabhi ladki pe jo tanha safar ka saneha guzre to chalti rail mein bhi ishq ka ye hadsa guzre ki hero rail ke sandas se dabbe mein aaega aur is ke baad heroine ko bas behosh paega wo us ke sar ko phir zanu pe rakh kar gal thapkega aur us ki aankh se ek ishq ka aansu bhi tapkega to heroine bhi bas ghabra ke aankhen khol dalegi ye us ka dil sambhaalega wo is ka dil sambhaalegi hon do bahnen badi ka un mein iklauta mangetar ho mohabbat se bapa donon ke dil mein ek mahshar ho ki chhoti ko bhi ulfat us se hogi barmala hogi wo apne hone wale dulha-bhai pe fida hogi firaq-e-yar mein gane ka ye andaz hota hai wo jangal ho ki basti ho yaqinan saz hota hai ghazal aadhi jo hero ne kisi jangal mein gai hai usi ki aadhi heroine ne basti mein sunai hai jo sazinde, pyano, wailen tabla bajate hain kabhi jangal mein jate hain kabhi basti mein aate hain ye filmi ishq hai, le de ke bas is ka ye hasil hai hamari qaum ke bachchon ke haq mein zahr-e-qatil hai 'zarif' anjam kya hoga jo mera dil bhi kho jae kahin aisa na ho, mujh ko bhi filmi ishq ho jae