fitrat ke pujari kuchh to bata kya husn hai in gulzaron mein hai kaun si ranai aakhir in phulon mein in kharon mein wo khwah sulagte hon shab bhar wo khwah chamakte hon shab bhar main ne bhi to dekha hai aksar kya baat nai hai taron mein is chand ki thandi kirnon se mujh ko to sukun hota hi nahin mujh ko to junun hota hi nahin jab phirta hun gulzaron mein ye chup chup nargis ki kaliyan kya jaane kaisi kaliyan hain jo khilti hain jo hansti hain aur phir bhi hain bimaron mein ye lal shafaq ye lala-o-gul ek chingari bhi jin mein nahin shole bhi nahin garmi bhi nahin in tere aatish-zaron mein us waqt kahan tu hota hai jab mausam-e-garma ka suraj dozakh ki tapish bhar deta hai dariyaon mein kohsaron mein jade ki bhayanak raaton mein wo sard hawaon ki tezi han wo tezi wo be-mehri jo hoti hai talwaron mein dariya ke talatum ka manzar han tujh ko mubarak ho lekin ek tuti phuti kashti bhi chakraati hai manjdhaaron mein koyal ke rasile git sune lekin ye kabhi socha tu ne hain uljhe hue naghme kitne ek saz ke tute taron mein baadal ki garaj bijli ki chamak barish mein wo tezi tiron ki main thithura simta sadkon par tu jam-ba-lab mai-khwaron mein sab hosh o khirad ke dushman hain sab qalb o nazar ke rahzan hain rakkha hai bhala kya is ke siwa in rahat-e-jaan mah-paron mein wo lakh hilalon se bhi hasin kaisi zohra kaisi parwin ek roti ka tukda jo kahin mil jae mujhe bazaron mein jab jeb mein paise bajte hain jab pet mein roti hoti hai us waqt ye zarra hira hai us waqt ye shabnam moti hai