shahr mein kuchh bhi ho jae ye log kahin nahin jate ya shayad hum gharon mein rahne walon ko aisa hi lagta hai jab subh subh hamein kahin jaana padta hai to unhen footpath par be-khabari ke aalam mein sota dekh kar hum un ki zindagi ke bare mein sochte hain magar wapsi tak bhul jate hain hamari gadi ko traffic-jam mein phansa dekh kar ye hanste hain to hamein apne-ap par rona aata hai har roz ek hi jagah unhen dekh ke hamein hairat hoti hai tez dhup mein unhen jalta dekh kar hamein afsos hota hai unhen barish mein bhigta dekh kar hum khub hanste hain har raat jab ye soe hue hote hain andhere footpath par se guzarte hue hum unhen thokaren marte hain aur kabhi muafi nahin mangte
This is a great gujarati shayari for brother. True lovers of maafi shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this fanaa shayari status is truly a work of art. Please share if you liked this!!!