aala baala makdi ka jala makdi bhuri makda kala ghat lagae donon baithe khamoshi se japte mala lo jale mein phans gai makkhi daud ke fauran pahunchi makdi us ko mazbuti se jakda khub use jale mein lipta hath panw makkhi ne chalae lekin us ke kaam na aae jaan haari bechaari makkhi kha gae us ko makda makdi dekh ke sara gadbad jhaala hui udas ma'sum ghazala kahne lagi wo aala baala hae-re wo makdi ka jala jis mein phans gai makkhi baala aala baala makdi ka jala sheron ko jangal mein dekho hiran bane hai un ka niwala isi tarah chalti hai duniya hairan kyon hoti hai ghazala tum har jaan-dar ko dekho ek dusre ka hai wo niwala