gandhi

By arsh-malsiyaniOctober 27, 2020
shahidon ka sartaj jannat-maqam
mohabbat ki mearaj zi-ehtiram
ghulaman-e-alam ki pusht-o-panah
ahinsa ke bandon ki ummid-gah


wo gham bhi watan ka tha gham-khwar bhi
razakar bhi aur salar bhi
ahinsa ka pairaw magar sher-e-mard
mohabbat mein yakta sadaqat mein fard


hua jis ke dam se ba-sad ehtisham
siyasat se uncha sadaqat ka nam
wo aadam ki azmat ka aaina-dar
wo zarra ki chamka tha khurshid-dar


wo jis ne diya aadamiyat ko auj
wo jis ne ladai ahinsa ki fauj
qafas hai koi ab na sayyaad hai
watan jis ki hikmat se aazad hai


wo nur-e-ziya-bar sima-e-khair
wo juya-e-khair-o-shanasa-e-khair
farishta-khisal-o-farishta-siyar
malak dar-haqiqat ba-zahir bashar


mohabbat ki wo ek shabih-e-hasin
ukhuwwat ka wo ek mah-e-mubin
wo haq aagahi ki kachhaaron ka sher
sadaqat ke maidan ka mard-e-diler


falak-afrin aur gardun-taraaz
marizan-e-pasti ka wo chaarasaz
wo kotah-binon ki sham-e-shuur
wo gumrahiyon mein hidayat ka nur


wo jis ne uthaya zamane ka bar
kiya jis ne jabir ko be-ikhtiyar
wo be-misl qaid muassar khatib
wo lashkar mein jis ke amir-o-gharib


wo jis ne karodon ke kate hain band
wo arfa wo aala wo sab se buland
wo jis ki ata hai nirali ata
wo jis ne diya ek naya falsafa


zamin par baha us jari ka lahu
tafubar tu ai charkh-e-gardan tafu
24319 viewsnazmEnglish