gandhi

By hurmatul-ikaramOctober 31, 2020
aaghosh mein phulon ki thirakta hua shoala
angaron ke gahware mein soi hui shabnam
ek jazba ek ehsas ek andaz ek aawaz
nikhra hua ek dard tapaya hua ek gham


insan ki surat mein dhadakta hua ek dil
paikar mein anasir ke koi dida-e-pur-nam
sine mein samoe hue ganga ka tamawwuj
kandhe pe himala ka uthae hue parcham


nairangi-e-afkar ka simta hua dariya
betabi-e-jazbaat ka thahra hua tufan
faruq ka matwala ukhuwwat ka pujari
'gautam' ka dila-ram ahinsa ki rag-e-jaan


apni hi khataon ka wo naqqad jawan-fikr
wo apne hi asrar ka ek sail-e-khiraman
mahaul ke sine ka dahakta hua lawa
tarikh ke mathe pe sajai hui afshan


61993 viewsnazmEnglish