wo hadis-e-ruh payam-e-jaan jise hum ne sun ke bhula diya wo harim-e-ghaib ka armughan jise pa ke hum ne ganwa diya wo mulk-o-millat-e-jaan-ba-lab jise us ne aab-e-baqa diya usi na-sipas ne hae ab use jam-e-marg pila diya hamein jis ne fath dilai thi use khak-o-khun mein mila diya hamein jis ne rah dikhai thi use raste se hata diya use ittiba-e-masih ne wo ajib dast-e-shifa diya jo gire the un ko utha diya jo mare the un ko jala diya jo utha tha shoala-e-shor-o-shar use apne khun se bujha diya jo pada tha parda nigahon mein use aap uth ke utha diya wo khamida-qad kham-e-mah--enau wo nazar-fareb khunuk si zau wo nigah-e-barq-e-amal ki rau ki dilon ko jis ne hila diya wo farogh-bakhsh-e-har-anjuman ki zamana-bhar mein tha zau-fagan wo charagh-e-bazm gah-e-watan kisi tira-dil ne bujha diya wo kitab-e-sulh ka sar-waraq ki mitai kashmakash-e-firaq wo qatil-e-khanjar-e-sabr-o-haq ki watan pe khud ko mita diya wo bodh aur kirshn ka ja-nashin hama-tan amal hama-tan yaqin wo tabassum-e-sahar-afrin ki chaman labon se khila diya wo ba-rang-e-aina saf-dil wo farogh-e-fitrat-e-ab-o-gil ki jihad-e-nafs ne mustaqil use aur husn-e-jila diya wo jalal-e-shewa-e-sadgi wo jamal-e-surat-e-zindagi wo zulal-e-chashma-e-agahi ki zamana-bhar ko jaga diya wo sharara barq-e-hayat ka wo sitara rah-e-najat ka wo manara azm-o-sabaat ka jise fitna-saz ne dha diya asar us ka ab hai wasia-tar ki har ek dil mein hai us ka ghar ye samajh ke khush na hon fitna-gar ki use payam-e-fana diya teri shan kaun ghata sake use khud khuda ne badha diya ki tujhe baqa-e-dawam di tujhe mansab-e-shohda diya teri khamushi wo zaban thi ki dilon ko josh-e-nawa diya tan-e-faqa-kash mein wo jaan thi ki hisar-e-kibr hila diya watan-e-aziz ko shan di use qaid-e-gham se chhuda diya rah-e-ittihad mein jaan di jo kaha wo kar ke dikha diya jinhen zer kar na saka sitam hue said-e-silsila-e-karam teri nekiyon ne teri qasam sar-e-khud-sari ko jhuka diya ye urus-e-kishwar-e-hind thi hama bekasi hama bad-dili use tu ne ghaza-e-khurrami tere khun ne rang-e-hina diya tujhe mandiron ne sadaen din ki tere karam se aman mili tujhe masjidon ne duaen din ki tabahiyon se bacha diya ye kamal-e-pairawi-e-ali ye farakh-hauslagi teri ki khud apne dushman-e-jaan ko bhi wahi armughan-e-dua diya tujhe bekasi ne sipah di tujhe mushkilat ne rah di tujhe bijliyon ne panah di tujhe talkhiyon ne maza diya yahi dharm hai yahi asl din ki ho qaul sach to amal hasin haq-o-ahl-e-haq pe rahe yaqin ye payam sab ko suna diya hama raushni teri zat thi hama soz teri hayat thi teri ruh shama thi gul hui tere tan ko phul bana diya tera faiz dahr mein aam ho ye ghubar uth ke ghamam ho teri khak tera payam ho ye samajh ke is ko baha diya