gandhi-jayanti

By arsh-malsiyaniOctober 27, 2020
bhul gai hai aaj to rahbar-e-haq-nigah ko
bhul gai hai aaj tu mard-e-jahan-panah ko
bhul gai hai aaj tu zabt ke baadshah ko
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum


ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
tere mahant to abhi mast hain zat-pat mein
tere bade bade guru gharq hain chhut-chhat mein
aah ki dhundhti hai tu nur andheri raat mein


tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
aah ki tu ne zabt ke dars ko bhi bhula diya
aah ki tu ne qalb se nam-e-safa mita diya


aah ki doston ko bhi tu ne adu bana diya
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
tere mushir be-amal tere wazir be-amal


tere gharib be-amal tere amir be-amal
tere safir be-amal tere kabir be-amal
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum


uf ki qadam qadam pe hai tera sharik ahrman
uf ki tujhe nasib hain firqa-parast rahzan
uf ki tujhe aziz hain charb-zaban-o-bad-sukhan
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum


ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
uf ki jahaalaton pe bhi aql ka hai guman tujhe
uf ki abhi pasand hai jahl ki dastan tujhe
uf ki hai firqa dosti deti abhi aman tujhe


tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
zulm kiye hain tu ne jo zulm ke shahidon se puchh
qatl kiye hain kis qadar apne mujahidon se puchh


pite hain roz kitni mai jhut ke zahidon se puchh
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
dars-e-mahatma ka bhi tujh par koi asar nahin


qaul-e-mahatma pe bhi aaj teri nazar nahin
kaun hai us ka ja-nashin is ki tujhe khabar nahin
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum


tujh ko batae kaun aaj asl mein rahbar hai kaun
tujh ko batae kaun aaj banda-e-motabar hai kaun
tujh ko batae kaun aaj pir-e-jawan-nazar hai kaun
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum


ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
dekh na chashm-e-shauq se pattharon ke to taur tu
qadr-e-jawahar-e-hasin dekh ba-chashm-e-ghaur tu
warna hazar zillaten tere liye hain aur tu


tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
42091 viewsnazmEnglish