uthi chaaron taraf se jab ki zulm-o-jabr ki aandhi payam-e-amn le kar aa gae ruh-e-zaman gandhi bane hindostan ke waste wo rahbar-e-kaamil tawassul se unhi ke pai hum ne apni khud manzil hui raushan ujale se dayar-e-hind ki wadi jalai is tarah ki aap ne ek sham-e-azadi unhi ne jabr se angrez ke hum ko chhudaya tha sadaqat ka sharafat ka hamein rasta bataya tha dikhai rah wo hum ko jo gautam ne dikhai thi batai baat wo phir se jo isa ne batai thi ukhuwwat ke wo dariya the mohabbat ke wo sahil the ahinsa ke wo dai the wo yak-jehti ke qail the sabaq phir se padhaya tha jahan-bhar ko bhalai ka zamana aaj bhi mashkur hai us haq ke dai ka gharibon ki nahifon ki hamesha dast-giri ki na parwa ki musibat ki na parwa ki asiri ki hamare dil munawwar kar diye nur-e-mohabbat se hue aagah ahl-e-dahr ramz-e-adamiyat se watan ke aasman par ek rakhshanda sitare the hamein ye fakhr hai ahl-e-jahan gandhi hamare the