salam ai ufuq-e-hind ke hasin taro salam tum pe siphar-e-watan ke mah-paro salam tum pe mere bachcho ai mere pyaro bhulae baithe ho tum mujh ko kis liye yaro jalao mere payamat ke diye yaro suno ki meri tamanna-o-arzu tum ho suno ki madar-e-bhaarat ki aabru tum ho suno ki amn-e-zamana ki justuju tum ho khamosh baithe ho kyun apne lab siye yaro jalao mere payamat ke diye yaro salam tum pe ki mere chaman ke phul ho tum meri nazar meri fitrat mera usul ho tum magar ye kya hua kis waste malul ho tum ye tum ne chand ghalat kaam kyun kiye yaro jalao mere payamat ke diye yaro watan mein khun ke dariya baha diye tum ne sabhi nuqush-e-ahinsa mita diye tum ne riwaj-kar-e-mohabbat bhala diye tum ne rusum-e-mehr-o-wafa tark kar diye yaro jalao mere payamat ke diye yaro sabaq padhaya tha tum ko adam-tashaddud ka tumhein bataya tha main ne gunah hai hinsa ye tum ne kis liye tegh-o-tabar se kaam liya tumhaare hathon mein khanjar hain kis liye yaro jalao mere payamat ke diye yaro tumhaare zehnon mein makruh sazish aur fasad dilon mein nafrat-o-kina hai aur bughz-o-inad magar labon pe hai baba-e-qaum zindabaad mujhe ye khokhle nare na chahiye yaro jalao mere payamat ke diye yaro zamin nanak-o-chishti pukarti hai tumhein dayar-e-budh ki tajalli pukarti hai tumhein suno kanhaiya ki bansi pukarti hai tumhein ab aur der bhi karni na chahiye yaro jalao mere payamat ke diye yaro utho zamana-e-hazir hai ek payam-e-amal utho ki kanp rahi hai nawa-e-saz-e-ghazal utho ki mand na ho jae husn-e-taj-mahal utho ki sinon mein phir raushni jiye yaro jalao mere payamat ke diye yaro phir apne zehnon mein lahkao dosti ka chaman phir apni sanson se mahkao pyar ka madhuban phir apne kaamon se chamkao sar-zamin-e-watan tumhaare mai-kade mein dahr phir piye yaro jalao mere payamat ke diye yaro na chhodo zinda watan mein kisi lutere ko kuchal do badh ke har ek sanp ko sapere ko mitao firqa-parasti ke har andhere ko bachao desh ko bhagwan ke liye yaro jalao mere payamat ke diye yaro mujhe ye khokhle nare na chahiye yaro