wahi hai shor-e-hae-o-hu, wahi hujum-e-mard-o-zan magar wo husn-e-zindagi, magar wo jannat-e-watan wahi zamin, wahin zaman, wahi makin, wahi makan magar surur-e-yak-dili, magar nashat-e-anjuman wahi hai shauq-e-nau-ba-nau, wahi jamal-e-rang-rang magar wo ismat-e-nazar, tahaarat-e-lab-o-dahan taraqqiyon pe garche hain, tamaddun-o-muashrat magar wo husn-e-sadgi, wo sadgi ka bankpan sharab-e-nau ki mastiyan, ki al-hafiz-o-al-aman magar wo ek latif sa surur-e-baada-e-kuhan ye naghma-e-hayat hai ki hai ajal tarana-sanj ye daur-e-kaenat hai ki raqs mein hai ahrman hazar-dar-hazar hain agarche rahbaran-e-mulk magar wo pir-e-naujawan, wo ek mard-e-saf-shikan wahi mahatma wahi shahid-e-amn-o-ashti prem jis ki zindagi, khulus jis ka pairahan wahi sitare hain, magar kahan wo mahtab-e-hind wahi hai anjuman, magar kahan wo sadr-e-anjuman