gandhi ke baad

By izhaar-malihabadiNovember 1, 2020
baad gandhi ke na sun hum ne saman dekha kya
fasl-e-gul aate hi har bagh-o-chaman ujda kya
dil hi afsurda ho jab peshkash-e-sahba kya
aankh hi jab na rahe dawat-e-nazzara kya


zindagi maut se bad-tar ho to phir jina kya
bhuk se daman-e-hasti ko siye jate hain
zindagi chhin ke auron ke jiye jate hain
har-nafas ahd wafaon ke liye jate hain


khun arzan hai gharibon ka piye jate hain
jab ye pine hi par aa jaen to phir dariya kya
husn bhi ghamza-o-andaz-o-ada bhul gaya
ishq bhi jalwa-e-rangin ki ziya bhul gaya


jo parastar-e-wafa tha wo wafa bhul gaya
rah sunte hain ki khud rah-numa bhul gaya
karwan manzil-e-maqsud pe pahunchata kya
ye jo aai hai hamare hi lahu ki hai bahaar


ye jo udta hai hamare hi dilon ka hai ghubar
barahman hai to koi aabid-e-shab-zinda-dar
koi sunta nahin is daur mein insan ki pukar
bazm-e-matam mein jo chhede to koi naghma kya


khirman-e-zulm ko ab aag laga de koi
chand-taron ke charaghon ko bujha de koi
aasmanon ko zaminon pe jhuka de koi
ja ke 'gandhi' ki ye sab haal suna de koi


zulm dhate hain ahinsa ke pujari kya kya
54755 viewsnazmEnglish