ek faqir ek insan paikar-e-ikhlas ruh-e-rasti ek faqir-e-be-nawa isar jis ki zindagi jis ke har qaul-o-amal mein amn ka paigham tha jis ka har iqdam goya aafiyat-anjam tha jis ki duniya bandagi bhagti surur-e-jawedan jis ki duniya kaif-o-sarmasti ki hasil be-guman aashti thi jis ki fitrat jis ka mazhab pyar tha khidmat-e-insaniyat ka jo alam-bardar tha azm ne jis ke har ek mushkil ko aasan kar diya jazba-e-ehsas-e-khuddari bashar mein bhar diya naz uthae hind ke wo hind ka gham-khwar tha karwan-e-hurriyat ka rahbar-o-salar tha ye bhi hai mojiz-bayani us ki har tahrir ki naqsh-e-farsuda se paida ek nai taswir ki khak se shoale uthe aur aasman par chha gae mah-o-anjum ban gae kaun-o-makan par chha gae tirgi bhagi jahaalat ki faza chhutne lagi haule haule tira-o-tarik shab katne lagi har taraf kaif-o-masarrat har taraf nur-o-surur ghunche ghunche par tabassum chashm-e-nargis par ghurur ye fusun-kari hui jis ke sabab wo kaun tha ye junun-kari hui jis ke sabab wo kaun tha nam tha gandhi magar us ke hazaron nam hain ek mai-khana hai jis mein har tarah ke jam hain