subh-dam aati hai ai hind tere aanchal se hamd ki nat ki puja ki bhajan ki khushbu dhadkanon ne yahan chhedi hai mohabbat ki ghazal hai fazaon mein ukhuwwat ke saman ki khushbu tere daman mein ajanta-o-hasin-taj-mahal tere kheton mein hai dahqan ke jatan ki khushbu tere jharnon se ubharte hain tarane dilkash ruh sarshaar kare dasht-o-daman ki khushbu 'mir'-o-'ghaalib' hon ki 'iqbaal' ya 'chakbast'-o-'firaq' teri mitti mein basi in ke sukhan ki khushbu rang ki nasl ki tahzib ki hai qaus-e-quzah hai kahan dahr mein ye gang-o-jaman ki khushbu mujh ko ghurbat mein bhi ehsas-e-watan hota hai jab bhi lati hai saba mere watan ki khushbu teri mitti pe tasadduq hain dil-o-jaan sabhi bhul sakte nahin hum tere manan ki khushbu tere honton pe tabassum ki dhanak khulti rahe sada aabaad rahe tere chaman ki khushbu