gaurayya tum aa bhi jao aakar sab ka dil bahlao tum bin ghar hai suna suna viran is ka kona kona jab tum ghar mein aati thin kitni khushiyan lati thin chin chin kartin shor machatin phir bhi sab ke man ko bhatin tinka tinka tum thin latin ghar apna phir un se banatin phir us mein tum detin ande jin se bahar aate bachche hote the ye nanhe munne dekh ke jin ko hum khush hote yaaden kitni hain ye suhani lekin ab to huin purani jab se tum ne aana chhoda dil goya sab ka hi toda bolo bolo kahan gai ho kaun des mein ja ke chhupi ho kaise tum ko wapas laen tum se apna dil bahlaen 'akif' tum ko yaad hai karta yaadon se dil shad hai karta gaurayya tum aa bhi jao ghar mein khushiyan wapas lao