mere gham ki mahram na jaane mere gham mein kya dilkashi tum ne pai ki apna liya hai ise is tarah jaise ye gham tumhaara hi gham ho mere gham mein kya dilkashi hai mujhe mujh se aagah karne mein kaisi jhijak ye pas-o-pesh kaisa batao wo kya shai hai mujh mein ki jis ki kashish ne tumhein apni khushiyan mere gham mein tahlil karne pe raghib kiya hai ki jis ne tumhein is qadar sochne ki bhi mohlat nahin di ki ye gham jise tum ne be-sauda apna liya hai tumhaara nahin hai tumhein meri baaton se dukh ho raha hai tumhein meri baaton mein beganagi si nazar aa rahi hai faqat is liye ki tumhein shadman dekhne ki mujhe aarzu hai magar tum mere gham mein paiham ghuli ja rahi ho meri samt dekho ye ashkon se labrez palken uthao mujhe ab koi gham nahin hai mujhe ab koi gham nahin hai