gham-e-dil
By bano-tahira-sayeedJanuary 2, 2024
dil ki wahshat ko ek zamana hua
gham ki shiddat ko ek zamana hua
koi ehsas tak nahin baqi
hasrat-o-yas tak nahin baqi
kyon tujhe yaad kar rahi hun main
yaad teri rula rahi hai aaj
dil mein huken utha rahi hai aaj
zindagi ho gai hai phir viran
phir se aankhen hui hain ashk-fishan
han tujhe yaad kar rahi hun main
chhut kar tujh se mil saka na sukun
aarzuen tamam ho gain khun
khak mein mil gae buland khayal
kya se kya ho gaya hai apna haal
phir tujhe yaad kar rahi hun main
dil bahalta nahin kahin mera
dost tujh sa koi nahin mera
wadi-e-zindagi mein hairan hun
surat-e-bu-e-gul pareshan hun
aa tujhe yaad kar rahi hun main
tujh se milne ki ab umid nahin
khwab mein bhi majal-e-did nahin
hijr ki talkhiyon ko sahna hai
'umr-bhar qaid-e-gham mein rahna hai
kyon tujhe yaad kar rahi hun main
gham ki shiddat ko ek zamana hua
koi ehsas tak nahin baqi
hasrat-o-yas tak nahin baqi
kyon tujhe yaad kar rahi hun main
yaad teri rula rahi hai aaj
dil mein huken utha rahi hai aaj
zindagi ho gai hai phir viran
phir se aankhen hui hain ashk-fishan
han tujhe yaad kar rahi hun main
chhut kar tujh se mil saka na sukun
aarzuen tamam ho gain khun
khak mein mil gae buland khayal
kya se kya ho gaya hai apna haal
phir tujhe yaad kar rahi hun main
dil bahalta nahin kahin mera
dost tujh sa koi nahin mera
wadi-e-zindagi mein hairan hun
surat-e-bu-e-gul pareshan hun
aa tujhe yaad kar rahi hun main
tujh se milne ki ab umid nahin
khwab mein bhi majal-e-did nahin
hijr ki talkhiyon ko sahna hai
'umr-bhar qaid-e-gham mein rahna hai
kyon tujhe yaad kar rahi hun main
40896 viewsnazm • English