ghar se niklun to duniya khaDi hai parakhne ko

jin machhliyon ne
zindagi ke sare din

samundar mein guzare hon
unhen pani ke lams ki

khabar kaise ho
jin parindon ne

zindagi ke sare din
pinjre ki qaid mein guzare hon

unhen asiri ke azab ki
khabar kaise ho

jin hathon ne
zindagi ke sare din

bekari mein guzare hon
unhen fursat ke ehsas ki

khabar kaise ho
jin aankhon ne

zindagi ke sare din
ghaflat ki tariki mein guzare hon

unhen gunahon ke andhere ki
khabar kaise ho

jin sanson ne
zindagi ke sare din

ibaadat-khane mein guzare hon
unhen mabud ke imtihan ki

khabar kaise ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close