gharibon ka KHuda koi nahin

By abdul-qayyum-zaki-aurangabadiFebruary 25, 2024
ek din thi dopahar ki sakht garmi aashkar
dhup ki shiddat thi misl-e-nar-e-dozakh qahr-bar
damanon mein aag le kar thi dawan baad-e-sumum
thartharahat thi faza mein misl-e-mauj-e-shoala-bar


aasman se sho'le girte the jhulasti thi zamin
garmi-e-roz-e-qayamat ka namuna aashkar
garm jhonke chal rahe the thin hawa ki yurishen
tund sho'le surkh zarre ud rahe the bar-bar


har kisi ki tha zaban par al-hafiz-o-al-ghiyas
chilchilati dhup se tha zarra zarra be-qarar
raste sune pade the rah par koi na tha
chal rahi thi har taraf lu aur bashar koi na tha


han magar tha rickshaw wala ek sargarm-e-safar
jis ko ghurbat kar rahi thi maut se sina-sipar
jo nigah-e-ahl-e-sarwat mein haqir-o-paemal
zindagani waqf thi jis ki barae ahl-e-zar


jis ki duniya faqr-o-faqa jis ki qismat ranj-o-gham
jabr-e-qudrat hi ne jis ko kar diya be-baal-o-par
khun ban ban kar pasina har bun-e-mu se rawan
chaar paise ke liye jo ban gaya tha jaanwar


be-niyaz-e-'aish-o-'ishrat aashna-e-dard-o-gham
ek musht-e-ustukhwan aashufta-rau ba-chashm-e-tar
us ghadi bhi muztarib tha rizq-koshi ke liye
aag mein wo jal raha tha apni roti ke liye


kya bataun kya meri aankhon ne dekha phir saman
ud rahi hain qalb-e-sozan se mere chingariyan
daf'atan thokar lagi aur chalte chalte gir pada
murgh-e-bismil dam ke dam mein ban gaya wo nim-jaan


dekhta hun ja ke main to khak ka ek dher tha
munh se bahar thi zaban aur khun honton se rawan
marne wale ki kisi hasrat mein thin aankhen khuli
uth raha tha paikar-e-be-jaan se rah rah kar dhuan


chaarasaz-o-dastgir-e-be-kasan koi na tha
kaun hota be nawaon ka bhala matam-kunan
muflison ka dahr mein mushkil-kusha koi nahin
ai 'zaki' sach hai gharibon ka khuda koi nahin


84108 viewsnazmEnglish