ghazal-cha

By abdul-mateen-niyazFebruary 3, 2021
hamein chahiye roz achchhe khilaune
imirti qalaqand rabdi ke done
hum school jaenge kuchh late ho kar
abhi nau baje hain abhi dije sone


hamein aaj circus ka show dekhna hai
wo jhulon ke kartab maze karte baune
ye itwar aaega phir sat din mein
ye picnic ke pal hain bade hi salone


badi jaan khate hain ye mammy daddy
na aangan hamara na kamre ke kone
hue fail aakhir nahin padhne wale
duaen bhi mangin kiye jadu tone


kaha waqt ne ilm se dil lagao
'niyaz' imtihan mein lage hum jo rone
83820 viewsnazmEnglish