ghurur ki haar

By abdul-mateen-niyazFebruary 3, 2021
ek phul ki kahani bachcho sunaun tum ko
ye baat kaam ki hai aao bataun tum ko
ek phul tha chaman mein masum pyara pyara
har phul se chaman ke tha rang us ka nyara


har phul dil se us ki tazim kar raha tha
aur us ki bartari ko taslim kar raha tha
karta tha pyar har dam sara hi bagh us ko
hasil tha sab ghamon se yani faragh us ko


apne ko pa ke tanha ek din ye us ne socha
karta hai meri izzat har phul hi chaman ka
yani main is chaman mein hun sab se khubsurat
shayad isi liye sab karte hain meri izzat


ye baat us ne sochi maghrur ho gaya wo
neki ke raste se phir dur ho gaya wo
andaz jab chaman ke phulon ne us ka dekha
ye faisla kiya hum honge na us pe shaida


phir yun hua ki ruthi us se chaman ki basti
malum ho gai phir us gul ko apni hasti
al-qissa us ne bachcho apna ghurur toda
ulfat gale lagai nafrat ko dur chhoda


wo phul ho gaya phir sare chaman ko pyara
aur ban gaya chaman mein aankhon ki sab ke tara
62021 viewsnazmEnglish