guDiya

By hafeez-aatishJanuary 3, 2024
nannhi kapde ki ma'sum gudiya
kale dore ki chamkili aankhen
sukhe baalon ki khamdar choti
dale gardan mein kala dupatta


meri jaanib lapakti hui si
banhen phailae kuchh muntazir si
roz ki tarh baithi hui hai
god mein kab se wo almari ki


23852 viewsnazmEnglish