guftugu band na ho baat se baat chale subh tak sham-e-mulaqat chale hum pe hansti hui ye taron bhari raat chale hon jo alfaz ke hathon mein hain sang-e-dushnam tanz chhalkae to chhalkaya kare zahr ke jam tikhi nazren hon tursh abru-e-khamdar rahen ban pade jaise bhi dil sinon mein bedar rahen bebasi harf ko zanjir-ba-pa kar na sake koi qatil ho magar qatl-e-nawa kar na sake subh tak dhal ke koi harf-e-wafa aaega ishq aaega ba-sad laghzish-e-pa aaega nazren jhuk jaengi dil dhadkeenge lab kanpenge khamushi bosa-e-lab ban ke mahak jaegi sirf ghunchon ke chatakne ki sada aaegi aur phir harf-o-nawa ki na zarurat hogi chashm o abru ke ishaaron mein mohabbat hogi nafrat uth jaegi mehman murawwat hogi hath mein hath liye sara jahan sath liye tohfa-e-dard liye pyar ki saughat liye regzaron se adawat ke guzar jaenge khun ke dariyaon se hum par utar jaenge guftugu band na ho baat se baat chale subh tak sham-e-mulaqat chale hum pe hansti hui ye taron bhari raat chale