guftugu jo hoti hai sal-e-nau se ambar ki garm hone lagti hain sardiyan december ki jaane wale lamhe to laut kar nahin aate karobar-e-duniya ke par ye ruk nahin pate kyon na masale sare is tarah se hal kar len sal-e-nau ke har pal ko pyar ki ghazal kar len sajda-e-mohabbat se aao mo'atabar kar den sal-e-nau ke aangan ko khushbuon ka ghar kar den tan-badan ummidon ke phir se mahke mahke hain rukh nai tamazat se khwahishon ke dahke hain ek naya waraq kholen hum kitab-e-hasti ka dil sabaq padhen phir se zindagi ki masti ka dil se dil ke milne ki nuqrai sadaen hon rang-e-ishq-o-ulfat ki reshmi hawaen hon dil ke saz se phuten yun mohabbaton ke sur hon khushi ke khwabon ke sur haqiqaton ke sur amn aur tahaffuz se shad phir rahen hum sab nafraten na banten ab mulk qaum aur mazhab dahshaton ki lashon par amn ki rida dalen aur khizan ke mausam ko fasl-e-gul bana dalen sal-e-nau ki aamad par mushkilen sabhi haaren itni hon andheron par raushni ki yalghaaren mandir-o-masajid sab amn ke hon gahware khwab 'alina' insan ke hon kabhi na banjare