guftugu

By nashtar-amrohviJune 17, 2022
kal ek buzurgwar se kuchh bahs ho gai
kya guftugu hui ye zara sun len aap bhi
main ne kaha janab se mahngai hai bahut
bole tumhaari aamad-e-baalai hai bahut


main bola petrol ki qimat pe kuchh kaho
kahne lage ki mahnga hai paidal chala karo
main ne kaha ki pyaz ka lahsan ka kya karen
kahne lage baghaar mein zira liya karen


main ne kaha ki garmi mein bijli ka kya karen
kahne lage ki hath se pankha jhala karen
main ne kaha train mein hai bhid kis qadar
bole ki kyon bhatakte ho har roz idhar-udhar


main ne kaha ki kursi ke aate hain mujh ko khwab
bole ki roz aayat-e-kursi padho janab
main ne kaha ki pani ki qillat bhi hai janab
kahne lage ki pani ke badle piyo sharab


main ne kaha ki shaeri mujh ko sikhaiye
bole mushaeron mein mere sher gaiye
main ne kaha mushaera lutengi shaeraat
bole isi liye to hui shairon ko mat


main bola sher main bhi sunata hun la-jawab
bole ki hai tumhaara tarannum bahut kharab
main ne kaha na kaam hai ne koi karobar
kahne lage ki sher kaho roz be-shumar


main ne kaha ki dhup mein garmi mein kya karen
bole ki ghar mein biwi ki surat taka karen
39635 viewsnazmEnglish