tu shanasa-e-kharash-e-uqda-e-mushkil nahin ai gul-e-rangin tere pahlu mein shayad dil nahin zeb-e-mahfil hai sharik-e-shorish-e-mahfil nahin ye faraghat bazm-e-hasti mein mujhe hasil nahin is chaman mein main sarapa soz-o-saz-e-arzu aur teri zindagani be-gudaz-e-arzu tod lena shakh se tujh ko mera aain nahin ye nazar ghair-az-nigah-e-chashm-e-surat-bin nahin aah ye dast-e-jafa jo ai gul-e-rangin nahin kis tarah tujh ko ye samjhaun ki main gulchin nahin kaam mujh ko dida-e-hikmat ke uljhedon se kya dida-bulbul se mein karta hun nazzara tera sau zabanon par bhi khamoshi tujhe manzur hai raaz wo kya hai tere sine mein jo mastur hai meri surat tu bhi ek barg-e-riyaz-e-tur hai main chaman se dur hun tu bhi chaman se dur hai mutmain hai tu pareshan misl-e-bu rahta hun main zakhmi-e-shamshir-e-zauq-e-justuju rahta hun main ye pareshani meri saman-e-jamiyat na ho ye jigar-sozi charagh-e-khana-e-hikmat na ho na-tawani hi meri sarmaya-e-quwwat na ho rashk-e-jam-e-jam mera aaina-e-hairat na ho ye talash-e-muttasil sham-e-jahan-afroz hai tausan-e-idrak-e-insan ko khiram-amoz hai