gurez

By asrarul-haq-majazOctober 27, 2020
ye ja kar koi bazm-e-khuban mein kah do
ki ab dar-khor-e-bazm-e-khuban nahin main
mubarak tumhein qasr-o-aiwan tumhaare
wo dil-dada-e-qasr-o-aiwan nahin main


jawani bhi sarkash mohabbat bhi sarkash
wo zindani-e-zulf-e-pechan nahin main
tadap meri fitrat tadapta hun lekin
wo zakhmi-e-paikan-e-mizhgan nahin main


dhadakta hai dil ab bhi raaton ko lekin
wo nauha-gar-e-dard-e-hijran nahin main
ba-in tishna-kaami ba-in talkh-kaami
rahin-e-lab-e-shakkar-afshan nahin main


sharab o shabistan ka mara hun lekin
wo gharq-e-sharab-e-shabistan nahin main
qasam nutq ki shoala-afshaniyon ki
ki shaer to hun ab ghazal-khwan nahin main


63254 viewsnazmEnglish