gurez

By bazm-ansariFebruary 5, 2024
un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar
sochta hun ki mohabbat ki jahan qadr nahin
jazb-e-dil jazba-e-ulfat ki jahan qadr nahin
aise mahaul se behtar hai kinara kar lun


mahfilen chhod ke tanhai gawara kar lun
un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar
jis ko ma'lum nahin pyar ki manzil kya hai
jis ko ehsas nahin dard-bhara dil kya hai


aise be-dard zamane ke nazaron ko salam
bewafa husn ki rangin bahaaron ko salam
un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar
ahl-e-dil kushta-e-uftad-e-zamana hon jahan


ba-wafa tir-e-malamat ka nishana hon jahan
aisi rahon mein wafaon ka guzar kya ma'ni
in khalaon mein mohabbat ka safar kya ma'ni
un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar


kaun kahta hai ki haalat badal jaenge
kaun kahta hai ki din-raat badal jaenge
ruh ehsas ke bojhon se dabi jati hai
zindagi dard ke sanche mein dhali jati hai


un se milne ki tamanna dil-e-betab na
69142 viewsnazmEnglish