hai meri soch mein raqsan sabhi jazbaat ka rang aur har rang se badh kar hai teri zat ka rang hai gulabi magar ek shokh ke isbaat ka rang zard inkar pe hairat ke sawalat ka rang malgaja maila sa majburi-e-haalat ka rang surmai rang judai ki hai saat ka rang kya yahi rang hai wahshat ka siyah raat ka rang ya ubharte hue phir zehn mein shubhat ka rang kasni dard ka aur maut ki sakraat ka rang aas ki qaus-o-quzah harf-e-munajat ka rang nazr-e-ehsas-e-gunah ho gaya din raat ka rang hai rawan khun sa be-rabt khayalat ka rang champai mazi ka yaadon bhari baraat ka rang shokh thahra hai bhadakte hue jazbaat ka rang jalta hai shauq ki tabish se mulaqat ka rang khauf ka rang mere farda ke khadshat ka rang nur hi nur magar qibla-e-hajat ka rang ek har lahza badalta hua aaina hai kyon badalta nahin phir haal ka haalat ka rang aa ja bhar de na wahi mujh mein kharabaat ka rang mujh ko aa jae tariqa ki jiyun aaj mein main aa ki badle to zara mere khayalat ka rang